Hadees Pak About Shohar ka bivi ko maarna aur biwi ka apne shohar ki shikayat karna

Women Complain About Their Husbands Prophet Muhammad S.A.W Hadees Mubaraka

Hazrat Ayaas bin Abdullah bin Abu Zubab RA Se Riwayat Hai Kay Nabi Kareem S.A.W Ne Farmaya Apni Bivion Par Hargiz Haath Nah Uthao Kuch Din Kay Baad Hazrat Umar Farooq RA Nabi Pak S.A.W Ki Khidmat Mein Haazir Hue Aur Arz Kya Ay Allah kay Rasool S.A.W Aurtain Apne Shoharon Ke Samnay Jurrat Dikhaane Lagi Hain Yani Zabaan Darazi Karne Lag Pari Hain To Nabi Kareem S.A.W Ne Inhen Maar Kar Samjhane Ki ijazat dy Di. Phir Jab Koi Aurat Apne Shohar Se Zabaan Drazi Karti To Shohar Se Usay Maar Parhti. Yeh Shikayat Le Kar Bohat Si Aurtain Prophet Muhammad S.A.W Ki Biwion ( Umhaat Al-Momineen ) Kay Paas Pohanch Gayeen Aur Apne Apne khawandon Ki Shikaytein karne Lagi. Subah Kay Waqt Jab Rasool Allah S.A.W Tashreef Laaye To Umhaat Al-Momineen Rasool Khuda S.A.W Sy Is Mutaliq Koi Baat Karti Lekin Is Se Pehlay Hi Rasool Allah S.A.W Ne Farmaya" Aaj Raat aale Mohammad S.A.W  Kay Pas 70 Aurtain Ayen Thein Aur Har Aurat Apne Khawand Ki Shikayat Kar Rahi Thi Tum Dekho! Aisi Aurtain Achi Nahi Hain.

Hawala : Sunan Ibn Maja

Hadees Number : 1985

Sanad : Sahih

Post a Comment

0 Comments